جلدی حمل کے لیے وظیفہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Jaldi Hamal Theherne ki Dua | Pregnancy Ka Wazifa Jaldi Hamal ki Dua ya Pregnant Hone Ka Wazifa ﷽ Bismillah hirRahmaan nirRaheem With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam Jismani kamzori ki wajah se kayi khawateen ko haamila hone mein diqqat pesh ati hai. Kayi martaba Isqat-e-hamal bhi ho jata hai. Main unse yahi daryaft karunga ke agar unka kisi doctor se ilaj chal raha hai to use jari rehne dein. Iske sath-sath hamal ki is dua ko yani aulad hone jo ye amal hai ise bhi shuru kar dein. Hamal hone ke liye is wazifa ko parhna nahi hai sirf ek bar mukammal tariqa apnaye aur phir intezar kijiye. Insha ALLAH jald se jald haamila ho jayengi. Aulad-e-nareena hasil ho jayegi. Agar koi khatoon ye chahe ke use is hamal ke rohani ilaj se fauran faydah hasil ho. To use is surat mein iski tamam sharait ko puri karna chahiye. Jaldi Hamal Theherne ki Dua Kaise Parhni Hai? 7 Roz Mein Hamal Theherne ki Dua Jin khawateen ka isqat-e-hamal ka ilaj chal raha hai wo doctor se unka ilaj jari rakhein. Iske sath hamal theherne ke is rohani wazifa ko bhi parhna shuru kar dijiye. Insha ALLAH jaldi hi aulad hasil hogi, Aameen. Awwal Surat Agar isqat-e-hamal yani hamal zayah ho gaya ho. Aur khoon jaari ho ho gaya ho. To esi surat mein us khatoon ka shauhar ya koi mahram ise anjam de. Jo hamila ke liye amal kar rahein hai wo shakh wuzu bana lijiye. Ak sooti laal rang ka dhaaga yani dora le lijiye. Is dhaage ko khatoon yani jo hamal chahti hai unke sir se lekar pairon ke anguthe tak is dhaage ko naap lijiye. Phir is naape hue dhaage par, sabse awwal Bismillah hirRa’hmaan nirRa’heem parhiye. Phir kalima tayyiba ke sath is ism mubarak ko parhiye: As-Sabooru Laa Ilaaha Illallaahu Mu’hammadur Rasoolullaah parhiye. Aur phir is dhaage par ek taraf ek girah yani gaanth laga djiye. Aur us dhaage par dam kar dijiye. Thik isi tarah se kul saat (7) martaba parhiye aur saat (7) girah (gaanth) laga dijiye. Aur har bar dhaage par dam kar dijiye. Girah thodi-thodi doori par ho. Zyada qarib na ho. Is dhaage ko aurat ki kamar par bandh dijiye. Haamila aurat jiska hamal zayah hota hai. Insha ALLAH is baar unka theher jayega aur saaqt (zayah) na hoga. Is rohani ilaj ke zariye sirf saat (7) hi dinon mein aulad hogi, Aameen. Is dhaage ko wiladat tak baandhe rakhein yani bachcha hone tak ise kamar par hi baandhe rakhe. Auld hone ke bad is dhage ko kisi talab, nadi ya naher mein baha dijiye. ya phir ke pak-saf jagah mitti mein dafn kar dijiye. See Dua for Getting Pregnant-Success Proof here Dusri Surat Isqat-e-hamal (hamal ka zayah hona) ke ilava agar kisi bhi wajah se hamal na theherta ho. To esi surat mein bhi auratein is amal ko kar sakti hai. Ghaur Talab: Aurat is dhaage ko baitul khala mein jane se pahle utar sakti hai. Khawateen kisi bhi tarah ki napaki ki halat mein rehte hue hamal theherne ke is amal ko nahi kare. Balki kisi aur se karvaye.

Comments