Dua for Success in Exam Introduction

Dua for Success in Exam Introduction Sabhi talib-e-ilm ke Imtihan taqriban ho chuke honge. Aur jo college main hai unke kuch un logo ke parche baqi honge. Ye koi esa wazifa nahi jisse bila parhe aur bila likhe koi bhi talib-e-ilm awwal ajaye. Internet par jo bhi log esa bolte hai wo aapko dhokha de rahein hai. Imtihan mein acha natija lane ke liye aapki mehnat bhi zaruri hoti hai. Agar kahin koi kasar reh jaye to beshak ALLAH us kami ko door karta hai. Beshak ALLAH unhe ki madad karta hai jo khudki madad karte hai. Yahan kayi dua wazaif imtihani marqaz par jane se pahle ke hai. Jisme ap parhkar parcha dene jayein aur imtihan achha ho. Lekin gine chune hi wazaif ese honge jo aap imtihan dene ke bad parhenge. Insha ALLAH jinke imtihan bhale hi thik na hue ho. Wo log bhi iski badaulat pass honge. Aur Jinhe 90-95 feesad yani 90%-95% number chahiye the. Aur unke parche is tarah nahi hue. Ab ese diye gaye imtihan mein awal aane ka ye aazmooda aur kaargar amal hai. Is amal ki khas bat ye hai ke ise parhne me apko zyda waqt nahi lagega. Aur ise aap bamushkil 10 minute mein hi pura parh sakte hai. To dua karunga ALLAH Ta’ala apko apke imtihanat mein achhe number ata kare aur ap khub acha natija lekar aye. Taki apke walidain ko ap par faqr ho, Insha ALLAH Ameen. Short Dua for Success in Exam Roman English Ye amal result aane se pehle karna hai. Yani agar aapke parche ho chuke hai. Aur ab aap natija aane ka intezar kar rahein hai. To ese mein result mein kamyabi hasil karne ka ye wazifa parhna shuru kar dijiye. Sharait niche maujood hai. Imtihan ka natija aane se pahle is amal ko shuru kar sakte hai. Behtar yahi hoga ke thoda waqt darmiyan mein rahein. Yani result aane ke kam-az-kam 10-12 roz pahle is amal ko parhna shuru kijiye. Isse zyada roz baqi hai to aur bhi behtar hai. Tariqaqar Kisi bhi roz aur kisi bhi din kar sakte hai. Wuzu ki halat mein rehte hai. Ja namaz par beth jayiye. Aur tasbeeh le lijiye. Tasmiya yani Bismillah hirRahmaan nirRaheem parhiye Awwal koi bhi durood shareef 11 martaba parhiye. Phir Bismillah hirRahmaan nirRaheem parhiye, aur ya ALLAH ya Rahmaan ya Raheem ya Kareem ya Hayyu ya Qayyoom 101 bar parhiye. Phir wahi durood shareef khir mein 11 martaba parhiye. Phir apne maqsad mein kamyab hone ki dua kijiye. Aapka maqsad aapka result achha ana hai. Aur usi ke liye ajizi se dua kijiye. Result aane tak is amal ko rozana kijiye. Insha ALLAH ummidon se bhi achha result ayega, Ameen. Zara dekhiye! Khawateen is amal ko haiz/maahwari mein ja namaz par bethe bina bhi parh satkti hai.

Comments